Kaheen Aah Ban Kay Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaay
Tujhe Bewafa Kahoon Main Woh Maqaam Aa Na Jaay
Zara Zulf Ko Sambhalo Mera Dil Dharak Raha Hai,
Koi Aur Tair-e-Dil Tah-e-Daam Aa Na Jaay
Jise Sun Kay Toot Jaay Mera Aarzu Bhara Dil,
Teri Anjuman Se Mujh Ko Woh Piyaam Aa Na Jaay
Woh Jo Manzilon Pe Laa Kar Kisi Humsafar Ko Looten
Unhi Rahzanu Mein Tera Kaheen Naam Aa Na Jaay
Isi Fikar Mein Hain Galtaan Yeh Nizaam-e-Zar,
K Bandle Jo Tamaam Zindgi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaay
Yeh Mah-o-Najoom Hans Lein Mere Aansuon Pe "Jalib"
Mera Mahtaab Jab Tak Lab-e-Baam Aa Na Jaay

0 comments:
Post a Comment